Friday, July 23, 2010

Chupke Chupke Raat Din -My Favorite Ghazal

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai


Khench le na voh mera parde ka kona daffatan 

Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai


Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Sunday, February 14, 2010

Ranjish Hi sahi

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 
akhir se mujhe chor ke jane ke liye aa 
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 

kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
rasmo rahi duniya hi nibhane ke liye aa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa 

phele phele phele se marasim na sahi 
phir bhi kabhi to 
tu bhi to kahin mujhko manane ke liye aaaa
ranjhish hi sahi dil hi dukhane ke liye aaa

jese tumhe ate hain na ane ke bahane 
wese hi kisi roz na jane ke liye aaa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aaaa
ranjish hi sahi ......akhir se mujhe chor ke 
jane ke liye aaaaa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aaaa
ranjish hi sahi ......

Zindagi Mein to sabhi pyaar kiya karte hain

zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
mein to mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon gaa...

tu mila hai to yeh ehsaas huwa hai mujh ko
yeh meri umr mohobat kay liyee thordi hai
ek zara sa gham-E-dowraan ka bhi haq hai jis par
main nay wo sans bhi teray liyee rakh chordi hai
tujh pay ho jaoon ga qurban tujhay chahoon gaa


apnay jazbat mein naghmat rachanay kay liyee
main nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasawwur bhi judayee ka bhala kaisay karoon
mein nay kismat ki lakeroon say churaya hai tujhay
pyar ka ban nigheyban tujhay chahoon gaa


teri har champ say jaltay hain khayaloon mein chiragh
jab bhi tu ayee jagata huwa jadoo ayee
tujh ko choo loon to phir ayee janay tamanna mujh ko
taray tak apnay badan say teri khushbu ayee
tu baharoon ka hai anwan tujhay chahoon gaa


Thursday, January 28, 2010

Shayari meri lafz thi kabhi ......


Ek hasin Jheel Nazar aati hai tumhari aankhen
Dil se kitni baate kar jaati hai tumhari aankhen...


Yaadon par koi pehra laga sakta hai kaise
Jab yaad ban kar sataati hai tumhari aankhen...


Khud se be-parwah dikhai deti ho hamesha
Phir bhi aitabaar karaati hai tumhari aankhen...


Kajal laga ke aankho mai jab palke uthati ho
Kaise din ko raat banaati hai tumhari aankhen...


Naram laboan ki khamoshi kuch keh na paaye
Bheege badan ko dehkaati hai tumhari aankhen...


Jis zulf ko chhuke gai aaj phir koi diwaani hawa
Us pal Mujhko mehakaati hai tumhari aankhen...


Teri nazar se wafaa ka izahaar kar diya hai
tune mujhe pyaar se fir inkaar kar diya hai


Kya baat hai nahi janata hu mai is jahan ki
tune sadiyo se mujhe sharmsar kar diya hai


Na ye teri haar hai aur na is pyaar ki jeet
tune apni nazar ko talabgaar kar diya hai

Na mila hai aur na milega mujh sa koi aur
hamane yaha elaan-e-bazaar kar diya hai


Aaj ittihaas ke panno par naam hai uska
jise tune apne dil se bahar kar diya hai.



Saturday, January 23, 2010

Kabhi Khaamosh Baithoge


kabhi khomosh baithogey,
kabhi kuch gungunaoge
mai utna yaad aaonga mujhe jitna bhulaoge

koi jub pooch baitheyga,
khamoshi ka shabab tumse
bahut samjhana chaogey ,
magar samjha na paoge
mai utna...........
kabhi duniya muqammal banke aaygi nighao mai
kabhi meri kami duniya ki har ik shay mai paoge
mai utna.........
kahi par bhi rahe hum tum mohabbat fir mohbbat hai
tumhey hum yaad aayge ,humey tum yaad aaoge.
mai utna..............

Thursday, December 17, 2009

Deewaron se milke

deewaron se milkar roona accha lag ta hai(2)
hum bhi paagal ho jaayenge aisa lag ta hai
dewwaron se.........


duniya bhar ke aanhe humse milne wale hain(2)
shyaam dhale is soone ghar mein mela lag ta hai(2)
hum bhi paagal .........
deewaron se.........


kitne dino ke pyaase honge yaaron soocho to
sabnam ka katraye jinko darya lag ta hai
hum bhi paagal.......



kisko kaise pathar maroon kaun paraya hai
seesh mahal mein har ek chehera apna lag ta hai
hum bhi paagal ho jayaenge ...
aisa lag ta hai